Bachpan ke din ab kabhi nahi ayenge Bachpan ki wo baatein hansti khelti din or raatein ab kbhi nhi aayenge… Jo chaiye hota tha wo maangne se pehle hi mil jata tha rone se pehle koi hansa jata tha… Log dekhna chahte the hamari sharartein khush hote the, sunkar hamare mukh se pyari pyari totli baatien… Kisi cheez ka gum nahi tha, kuki tab hamare soch me itna dum nahi tha…. Wo bachpan ke din abhi bhi bohot yaad aate hain Par iss samay ke samandar ki gehraai mein wo doob jaate hain fir mann ki gehraai mein wo pal sama jate hain…. Naa thi tab kisi ko paane ki chinta, naa tha tab kisi ko khone ka darr naa jaane ku door hogya humse hamara pyara sa bachpann…. Bachpann mein hamare lie din or raat ek tha kuki tab hamare paas samay anek tha… Ab kabi nhi ayega wo pal naa hi aaj or na kal, ab soona sa lagta hai wo ghar ka aangan jahan bitaya humne apna pyaara sa bachpan… Zindgi ne to hume bht kuch dia fir bhi naa jaane ku humse hamare bachpann ka din cheen lia… Sacchaai to yehi hai ki bachpan ke din ab kabhi nahi ayenge wo beeta hua bachpann sirf yaadein hi bankar reh jayenge… Aaj bhi sochta hoon ki wo pal wapis aajaye mera beeta hua kal waapis aajaye….. Bachpan ke din kitne suhaane hote the har pal khush rehne ke bahaane hote the…. Kyon bacpann humse ab duur hogya ku wo lamha itna majboor hogya… Waise to abhi puri zndgi baaki hai par bachpan ab kabhi laut kar nahi ayega iss baat ki bhi udaasi hai.. Bacpan ke din bhi kitne haseen hote the hum sab apne aap mein hi leen hote the… Bacpan ke wo din yaad aate hain har pal hume satate hain, karte rehte the mauj masti har dum kya batayein kitna pyara tha hamara bachpann Sab kuch to hai paas, bs uss bachpan ke dino ki hai aas…..

Loading...